Adbox
Latest Articles

Sacha Piyar Kiya Hai ?

What is true love meaning in a relationship

Sacha Piyar  Boltey hi mind main different thoughts aa jaatey hain.. yaa ham aisy ssamjhaney lag jatey hain jessa movies main dekha hai..

 Romance, outings, fun enjoyment yaa phir  jaisey filmy dialogues ki tarah ke, usko har haal main hasil karna hai.. apne piyaar k liye duniya se larr jana..

Apne piyar ke liye apne khandaan ke khilaaf ho jana, apne rasmo or rawajon ke khilaf ho jana, orr bhi buht sarey khayalat par asal main sacha piyaar hota hi kuxh or hai.

So agar ham Sache Piyar ki bat karain to wo hogi ke something only Giving matlab sirf Piyaar Dena badley main kuchh bhi expect naa karna..

 Agr main iss se piyar karta hoon yaa uske piyar me main uske liye jo jo karta hoon wo bhi retrun main mere liye karey to sahi otherwise wo mujh se piyar nahi karta..

 To yahaan main main aik baat clear karna chahoonga ke jab ham piyar ka izhaar kartey hain to yeh kehte hain ke "Main tum se piyar karta hoon" ,yeh nahi kehte hain ke hamain piyar hua hai...

To aap kehte hain ke main ap se piyar karta hoon..

To seedhi si baat hai k piyaar aap kartey hain to wo sare kam bhi aapney e karne hongy jaissey:

 Gifts dena, usko khush rakhna, uski har chhoti barri khushi ka dhiyaan rakhna,  orr har wo kaam karna jis se uki khushi jurri ho, yeh sab aapne e karna hai..

 Yeh hota hai Sacha Piyaar ye nahi ke jo jo aap kar rahe hain uska hisaab rakhain or uss se jakar pooshna shuroo ho jain ke...

 yar maine tumhare liye kitna kuxh kiya hai or tum mere liye kuxh nahi kartey ho, Mujhe to lagta hai ke tum mujh se piyar e nahi Kartey.

To yahan pe aakar aap galti kar jaatey hain aor Agar to aap aisi harkat kartey hain to:

 Iss ka saaf matlab hai k ap agly bandey se Sacha Piyar nahi kartey, agr kartey hotey to aapko is cheez ki kabhi fikar nahi hoti k wo aap ke liye kiya kiya kar raha hai ya kiya nahi kar raha hai..

 Aap bas yeh dekhtey ke wo kitnaa khush hai or aap apni khushi usski khushi main dhoondhtey...

 Aor isi ko e kehte hain Sacha Piyar or yehi Sachey Piyar ka matlab hai Ke piyar dena or badley main kuxh bhi expect na karna..

 Aor believe me agar aap Sacha Piyar kartey hain or thora dheeraj se kaam lain, aor usko thora time dain ko wo iss ahsas ko mehsoos karey...

 Aor samney waley bandey ney  yeh jab mehsoos karliya ke han yar yeh banda to sachi main mujh se buht piyar karta hai bagair kuchh demand kiye..

Hamesha mere liye available rehta hai or meri har chhoti barri khushi ka khayal rakhta hai bagair kisi cheez ki parwah kiye...

 Aor jiss din ussey ye yaqeen aa gaya to phir to usko aap se sacha piyar hone se koi nahi rok sakta.

Aor sacha piyar paney ke liye sirf kehne se kam nahi banta yaqeen tab hota hai ke jo words  aapne kahey hain wo apke action se bhi match ho rahain hon..

 Kiyon ke jab aap kisi ko bhi purpose karain to koi bhi kese yaqeen kar sakta hai ke ye banda ya bandi sach main mujh se piyar karta hai...

Aor iss ke baad bhi ho sakta hai ke  wo kuxh time lega iss doubt ko khatm karney k liye or hann har kisi ka apna time period hota hai, koi jaldi man leta hai koi ziada time lagata hai.

 Bas aapne piyar kartey rehna hai, be inteha or anthak wala piyar or tab jaakar aik na aik din usko wo sacha piyar mehsoos hoga orr lazmi hoga.. 


Kiyon Ke Sacha Piyar Bataya Nahi, Mehsoos Karaya Jata Hai

 Aor aik din usko ye zaroor mehsoos hoga aor tab wo bolega, yess yehi hai mera Sacha Piyar to phir wohi sare kam apke liye kiye jaayengy jo kabhi aapne uss ke liye kiye they...

 Phir apko bhi milega wo Sacha Piyaar jo apne kiya tha Kiyon ke yeh qudrat ka qanoon hai jessa ap karogey wessa aapko milega..

Haan kuchh aise case bhi ho saktey hain k banda kisi se piyar karta reh jaye  matlab aik tarfa piyar (one sided love) ar jis se kar raha ho... wo kisi or k sath piyar main ho.. 

To iss main b apko apna dil chota karney ki koi zroort nahi hai kiyon ke ho sakta ho wo banda apki qismat main na ho or khudaa ney aaapke liye uss se axha koi aapke liye soch ke rakha ho...

 Bas aapne disappoint nahi hona orr aapne khush hona apne lover ki khushi dekh kar or simply aap peexhey hat jao jab kabhi aisi situation ho yaa aa bhi jaye to..

Iske liye thori c funny or realistic example deta hoon:

To  sachaa piyaar e wohi hota hai k agar aap jis se piyaar kartey hain or wo kisi or se piyar karta hai to...

 Pap uski khushi ki khatir uss se bhi pasand kar lete hain (aor us se pasand karne ka matlab hai ke usko accept karna or uss se koi jeleousy na rakhna).. 

Bajaye aap un ke rastey ka kantaa baney, aap ko chahiye ke aap unka sath dain aor unko  milaney ki koshish karain orr ye bhi aik sacha piyar karne wala e kar sakta hai kiyon ke wo jazbat or ahsas ko samjhta hai...

 kiyon ke aisaa karna kabhi bhi aasan nahi hota.. aor agar is sab ko sum up karoon to aap iss picture main parh saktey hai...


What is true love meaning in a relationship

Par ab iss daor main aisa piyar karna kisi k liye bhi buht mushkil hai:

 Par iske bawajood bhi abhi bhi kafi aisey laog hain iss duniya main sacha piyaar kar rahe hain orr kartey rahengy. 

kiyoon ke Sacha Piyaar khuda ki naimat hai or ye naimat khuda ki tarf se hamesha kisi na kisi ko milti rahti hai…

Sacha Piyar aik kamal ki feeling hota hai aor jo iss feeling ko mehsoos kar ley wo buhat khushqismat hota hai... kiyon ke aisi feeling ko mehsoos karna har kisi ki qisamt mai nahi hota..

Yeh aik aisi feeling hai jo sacrifice karna sikhati hai, ye aik aisi feeling hai jo hamain doosron ki khushi apni khushi se ziada important hai ye batati hai orr ye hamara ego khatm karti hai.. hamari poori shakhsiyat ko badal ke rakh deti hai..

Sacha Piyar har cheez accept karna sikhata hai

Jaise aap jis se piyar karte hai phir usski har aadat aap accept kartey hain chahey achhi ho ya buri par aap usko apnaatey hain.. 

Aisi feeling hamain nature ka rule sikhati hai, nature ki tarah jeena sikhati hai jese ke nature ki koi bi cheez apne liye nahi hai..

Wo kuch na kuch hamain dey rahi unlimited de rahi hai, aap nature ki koi bhi cheez utha ke dekh lain or ye piyar hai hamare khuda ka hamare liye.

 Aap  soorj ko hi dekh lain wo hamian roshni deta hai or badley main kuchh nahi letaa Darakht or Podhey hamin phal or chhaaon dete hain oxygen dete hain ham se badley main kuxh nhi lete...

Yeh samandar hamian pani deta hai, Zameen hamian anaj deti hai hamara bojh uthati hai or badley mein kuchh nahi leti.. qudrat ki har cheez apne liye nahi hai..


What is true love meaning in a relationship


 Issi tarah jab kisi ko sacha piyara ho jaye to wo bhi apne khuda ke qareeb ho jata hai..

Aorr bas sirf khushiyaan dene main believe karta hai orr kisi ka dil nahi dukhata..

Aorr sab se piyar karta hai aor wo apna be panah piyar hamesha bant ta rehta hai aor kabhi nahi thaktaa...


Simple logic hai agr sacha piyar chahiye to sacha piyar karna parega
Continue reading

Kamyaab kon hai pata hai|Who is Successful- By Anil Kumar I Hindi I Urdu


Kamyaab kon hai? pata hai! | Who is Successful? Watch this video to know what makes winners more successful and powerful. This powerful motivational video in hindi/Urdu. This inspirational video in Hindi/Urdu on Success Motivation empowers us to understand which habits or Activities make successful to an ordinary person, if you want success change your habits. One can also learn tips on positive thinking and working with positive attitude with people in societies and organisations. You can visit our channel to watch more personality development and success videos. We will keep publishing motivational and inspirational videos in Hindi/Urdu to make you more successful and happy in Life. All the Best..!

Hope you enjoyed my video on "Who is Succesful" in Hindi & Urdu Being a motivational speaker, it's my passion and duty to help you all with best success motivational videos. You can post your comments or questions, I will surely revert to it.




Continue reading

Who is Successful?- By Anil Kumar Oadesi I Urdu I Hindi

Who is successful? & their habits. This is 1st version of Who is successful, complete version will be coming soon..
Hope you enjoyed my video on "Who is Succesful" in Hindi & Urdu Being a motivational speaker, it's my passion and duty to help you all with best success motivational videos. You can post your comments or questions, I will surely revert to it.



Continue reading

Types of Friends I دوستوں کی اقسام - By Anil Kumar Oadesi I Urdu I Hindi


There are 3 Types of Friends we all have: 1- Yes Friends 2-Expert Friends 3- Guide Friends


anil-kumar-oadesi
types-of-friends
Hope you enjoyed my video on "Types Of Friends I دوستوں کی اقسام" in Hindi & Urdu Being a motivational speaker, it's my passion and duty to help you all with best success motivational videos. You can post your comments or questions, I will surely revert to it.

Continue reading

Failure Doesn't Come in Nights | Nakaami Raaton Raat Nahi Aati | ناکامی راتوں رات نہیں آتی - Anil Kumar Oadesi |Urdu | Hindi


Nakaami Raaton Raat Nahi Aati ( ناکامی راتوں رات نہیں آتی ) English "Failure Doesn't Come in Nights". Watch this video to know why we fail in life, why people fail in life, why do people fail in life, why do we fail in life. You have to change your failure thinking in to success thinking. I will keep posting interesting motivational videos to inspire you, entertain you, empower you for success in life. Hope you enjoyed my video on how can we achieve our goals in Hindi & Urdu Being a motivational speaker, it's my passion and duty to help you all with best success motivational videos. You can post your comments or questions, I will surely revert to it.


Continue reading

How Can We Achieve Our Goals-By Anil Kumar Oadesi | Urdu | Hindi

We have wishes, desires and Goals, We make plans to achieve them... But many a times Inspiration does not stay for many days, and our wishes remain wishes. Our plans do not get converted to rewards, our goals do not get converted to success. In this motivational video, I have given another solution for self motivation. If you want to be motivated and develop commitment to success, then you can check out motivational tip given in hindi & Urdu in this thought provoking video. Being a motivational speaker, I understand what challenges we face when we set out goals. Hope you enjoyed my video on how can we achieve our goals in Hindi & Urdu Being a motivational speaker, it's my passion and duty to help you all with best success motivational videos. You can post your comments or questions, I will surely revert to it.



Continue reading

Thakan Ka Virus | Fatigue Virus | تھکن کا وائرس - By Anil Kumar | Urdu | Hindi

Thakan Ka Virus (تھکن کا وائرس ) English Fatigue Virus. Hope you enjoyed my video on "Thakan Ka Virus | Fatigue Virus | تھکن کا وائرس" in Hindi & Urdu Being a motivational speaker, it's my passion and duty to help you all with best success motivational videos. You can post your comments or questions, I will surely revert to it. I will keep posting interesting motivational videos to inspire you, entertain you, empower you for success in life.



Continue reading